Tuesday, March 1, 2011

Mera or uska sath

Jese chand ki shal main liptee howe wadee
Wo wadee jin ki qismat main sharminda tabeer hona Nahi lekha

Mera or uska sath

Jese kali sham main kalee darakhtoo K kalee sayee
Jin ki qismat main umeed ki aik kiran nahi

Mera or uska sath

Jese tanha musafir tnahi k khof se tanhai ko orrr lee
Jis ki qismat main mehfil nahi

Mera or uska sath

Jese mailk or makhlooq aik ban ke bhol gia aik bana kar
Bhol gia
Wo mahklooq jin ki qismat main sada ki payas likh di gai hai

Mera or uska sath

Jese jim or roh ka jese din or rat ka
Jese nadi or kinaro ka jese bahar or khazan ka

Asa hai mera or uska sath

Hum Mohabbat Karenge

Hamesha Hamesha Hum Mohabbat Kareinge
Teri Aashiqi Ki Hum Ibaadat Karainge
Teri Rooh Mein Nabz Bankar Raheinge
Tere Jism Mein Khoon Bankar Baheinge
Tujhe Chaheinge Hum Jism-o-Jaan Se
Mileinge Sabhi Se Teri Pehchan Se
Tere Baad Na Kisi Ki Hasrat Kareinge
Teri Aashiqi Ki Hum Ibaadat Kareinge

Teri Aankhon Mein Hum Aise Raheinge
Tu Jisko Bhi Dekhe Hum Hi Hum Mileinge
Tere Labon Pe Hum Aise Sajeinge
Pukaro Ge Kisi Ko Jab To Naam Hamara Hi Loge
Aisi Sanam Hum Tumse Ulfat Kareinge
Teri Aashiqi Ki Hum Ibaadat Kareinge

Teri Aarzoo Banke Tere Dil Mein Raheinge
Tu Jo Kahega Bas Wohi Hum Kareinge
Tera Ehsaas Bankar Tere Saath Chaleinge
Teri Khushi Se Hi Armaan Hamare Baneinge
Jo Tujhko Pasand Ho Wohi Chahat Hum Kareinge
Hamesha Hamesha Hum Mohabbat Kareinge
Teri Aashiqi Ki Hum Ibaadat Kareinge