Saturday, March 5, 2011

Mere Mehboob

Tere chehre main masoom sa bachcha nazar aata hai
Muskura kar dekhna mujh ko, dil pe qehar dhaata hai

Jabeen par bikhar jaati hain teri zulfen jo pareshaan si
Apni unliyon se sanwaaroon, mann ye behek jaata hai

Ankhon main machalti hui shokhiyan, woh sharartain
Woh tera baankpan har baar mujh ko qatl kar jaata hai

Aur thak ke jo kar leta hai band apni aankhon ko kabhi
Apne aaghosh main bhar loon, dil mera tadap jaata hai

Tu kya jaane tere ishq ne kya haal kiya mera, ae Dilbar
Jis jaanib dekhta hoon, mujhe tu hi tu nazar aata hai !!