Sunday, March 6, 2011

MÄÏN TÖ MÖHÄßßÄT HÖÖN


Main saahil pey likhee hoee ibaarat nahee Jo lehron se mit jaati hay
Main baarish ki barasti boond nahee
Jo baras ker tham jaati hay
Main khwab nahee Jisey dekha aur bhula dya
Main shama nahee
Jisey phoonka aur bujha dya
Main hawa ka jhonka nahee
Jo aaya aur guzar gaya
Main chand bhi nahee Jo raat k baad dhal jaye
Main to woh ahsaas hoon
Jo tujh main lahoo ban ker gardish karay
Main to woh rang hoon
Jo teray dil pay charay to kabhi na mitay
Main woh geet hoon Jo teray labon se juda na hoga
Khwab,ibaarat,hawa ki tarah Chand,boond,shama ki tarah Meray mitnay ka sawaal nahee Kyunkay MÄÏN TÖ MÖHÄßßÄT HÖÖN Aur Mohabbat Koi Sawaal Nahee

3 comments:

Neha said...

Sawaal toh main hu aap toh mera jabab ho
Ibaarat nahi aap toh mere dil ka kalam ho
Boond nahi aap toh pyar ki pehli barsaat ho
Khwab nahi aap toh mere har khwab ki tabeer ho
shama nahi aap toh mere dil ko roshan karne wala aftaab ho
Hawa ka jhonka nahi aap toh meri rooh main basi khusboo ho
Chand bhi nahi aap toh mera aaina ho
Mera har ahsaas har rang har geet ho aap, Aap toh meri jindgi ho meri jaan ho
Tabeer,kalam,khusboo ki tarha Aaina,barsaat,boond ki tarha kyuki aap toh mohabbat ho aur main aap ki chahat hu Sawaal toh main hu Aap toh mera jabab ho
Sawaal toh main hu Aap toh mera jabab ho...

Neha said...

Main lekhak nahi hu isliye meri galtiyo ko maf kijiyega...

Unknown said...

nice thought shubham...and neha u r not a writer its unbelievable because u did a good job here...both of u were too good